Tuesday, February 12, 2013

abdul hameed adam ki behtareen gazlen pesh haiN

abdul hameed adam ki behtareen gazlen pesh haiN
gazal 
abdul hameed adam

gam e zeest par muskurana pada
tere   jabr      ka   geet gana pada

irada   to nazdeek  ka tha magar
badi door tak ham ko jana pada


samajh   kar teri aankh ka muddaA
mashiyyat ko bhi lad khadana pada


kiya jab jawani ne    azme  safar
mohabbat ko rasta dikhana pada

badi deer daman bachate rehe
bohot jald  sagar  uthana pada

adam kitne   bekaif  mahol me