Saturday, March 16, 2013

GAZAL OF SAGHIR NIZAMI

GAZAL OF SAGHIR NIZAMI

GAZAL
SAGHIR NIZAMI 
name: Muhammad samdyar khan
Takhallus:  SAGHIR     (……….1905)
Dasht me qais nahiN koh pe farhad nahiN
He wahi ishq ki dunya magar abad nahiN
Dhondne ko tujhe awo merena milne wale
Wo chala he jise apna bhi pata yad nahiN
Rooh bulbul ne khizaN ban ke ojada gulshan
Phol kehte rahe ham phol haiN sayad nahiN
Husn se chok hoi is ki he tarekh gawah
Ishq se bhol hoi ye mujhe yad nahiN
Barbate mah par muzrab e fugaN rakh di thi
main ne ek nagma sonaya tha tumheN yad nahiN
lawo! Ek sajda karoN aalame bad masti main
log kehte haiN ke saghir ko khuda yad nahiN