Tuesday, February 26, 2013

makhdoom mohiuddin ki nazm CHAND TARON KA BAN

makhdoom mohiuddin ki nazm CHAND TARON KA BAN

Nazam
CHAND TARON KA BAN
Poet: makhdom mohiuddin hyderabadi
Mom ki tarah jalte rahe ham shahedoN ke tan
Rat bhar jholmilati rahi shama e subah watan
Rat bhar jagmagata raha chand taroN ka ban
Teshnagi thi magar
Teshnagi me bhi sar shar the
Piyasi aankhoN ke khali katore liye
Mutazaz mard o zan
mastiyaN khatam mad hoshiyaN khatam theN khatam tha bankpan
rat ke jagmagate dhekte badan
subah dam ek dewar e gam ban gaye
kha zar e alam ban gaye
rat ki shah ragoN ka ochalta laho
joye khoN ban gaya
kuch imaman e sad makr o fan
un ki sansoN main ufee ki phankar thi
un ke sine me nafrat ka kala dhuwaN
ek kame  gah se
phenk kar apni nok e ubaN
khon e noor e sahar pi gaye
rat ki teljhateN haiN andhera bhi he
subah ka kuch ojala ojala bhi he
hamdamo!
Hat me hat do
Soe manzil chalo
Manzile piyar ki
Manzile dar ki
Koe dildar ki manzile
Dosh par apni apni salebeN othaye chalo