Monday, March 11, 2013

jurat ki gazal

jurat ki gazal

GAZAL
JURAT 
name:SHEK QALANDAR BAKHS
Takhallus:   jurat   (1810-………)
hameN dekhne se wo jita tha aur ham is par marte the
yahi rateN then aur bateN then wo din kya guzarte the
wo soz e dil se bhar lata tha ashk surkh aankhoN main
agar ham ji ki be cheni se aah e sard bhar te the
kisi dhad ke se rote the jo baham wosol ki shab ko
wo ham ko mana karta tha ham is ko mana karte tha
mili rahti then nazreN galba e olfat se aapas main
na khof us ko kisi ka than a ham logon se darte the
so ab sad haef is khorshed ro ke hijr main jurat
yahi raten haiN aur bateN wo din kya guzarte the