Monday, March 11, 2013

GAZAL of HIMAYAT ALI SHAYER

GAZAL of HIMAYAT ALI SHAYER

GAZAL
HIMAYAT ALI SHAYER
NAME:MER HIMAYAT ALI
Takhallus:   SHAYER      (……1930)
Har qadam pe nit naye sanche main dhal jate haiN log
Dekhte hi dekhte kitne badal jate haiN log
Kis liye kijiye kis gum gashta jannat ki talash
Jab ke miti ke khilonoN se pehal jate haiN log
Kitne sada dil haiN ab bhi sun ke awaze jars
Pesh o pas se be khabar ghar se nikle jate haiN log
Apne apne saye sar neyodhaye ahista kharam
Jane kis manzil ki janib aaj kal jate haiN log
Shama ki manind ahle anjuman se be niyaz
Aksar apni aag main chop chap jal jate haiN log
Shayer inki dosti ka ab bhi dam bharte haiN aap
thokareN kha kar to sonte haiN sabhal jate haiN log