Monday, March 11, 2013

hafeez jalendhari ki gazal

hafeez jalendhari ki gazal

GAZAL
HAFEZ JALANDHARI
NAME: MUHAMMAD HAFEZ
Takhallus:  HAFEZ    (1982-1900)
Ham hi me thi koi bat yad na tum ko aa sake
Tum ne hameN bhola diya ham na tumheN bhola sake
Tum hi na sun sake agar qissae gam sone ga kon
Kis ki zubaN khole gi phir ham na agar sona sake
Hosh me aachoke the ham josh me achoke the ham
Bazm ka rang dekh kar sar na magar otha sake
Ronaq bazm ban gaye lab pe hikayateN raheN
Dil main shikayateN raheN lab na magar hila sake
Shoqe wisal he lab pe sawal he yahaN
Kis ki majal he yahaN ham se nazar mila sake
Ejz se aur badh gai barhami mizaje dost
Ab wok are ilaje dost jis ki samajh main sake
Ahle zubaN to haiN bahut koi nahiN he ahle dil
Kon teri tarah Hafez dard ke geet ga sake