Thursday, March 7, 2013

aslam ansari ki gazal main ne roka bhi nahiN aur wo tehra bhi nahiN

aslam ansari ki gazal main ne roka bhi nahiN aur wo tehra bhi nahiN

GAZAL
ASLAM ANSARI 
name: ASLAM ANSARI
(…..1940)
main ne roka bhi nahiN aur wo tehra bhi nahiN
hadisa kyat ha jise dil ne bholaya bhi nahiN
jane waloN ko kahaN rok saka he koi
tum chale ho to koi rokne wala bhi nahiN
dor o nazdek se otha nahiN shor e zanjir
aur sahra main koi naqsh e kaf e pa bhi nahiN
gul bahar rang tabassom ka gunah gar raha
zakhm e hasti ka siwa is  ke madwa bhi nahiN
kon sa mod he kyoN pawo pakadti he zamiN
is ki basti bhi nahiN koi pokara bhi nahiN
beniyazi se sabhi qarya e jaN se guzre
dekhta koi nahiN he ke tamasha bhi nahiN
wo to sadyoN ka safar kar ke yahaN pahuncha tha
to ne munh pher ke jis shaks ko dekha bhi nahiN