Saturday, April 6, 2013

nigah e faqr me shan e sikandari kya hai allama iqbal aur un ke sher

allama iqbal ke behtareen sher aur unki shayari
allama iqbal ke chand sher

allama iqbal

nigah e faqr me shan e sikandari kya hai 
khiraj ki jo gada ho wo qaisari kya hai 

butoN se tujh ko umeedeN khuda se naumeedi
mujhe bata so sahi aur kafari kya hai

falake ne un ko ata hi hai khajagi ke jinheN
khabar nahee hai rawish e banda parwari kya hai 

Friday, April 5, 2013

wagarna sher mera kya hai shayari kya hai by hazrat allama iqbal shair e islami

allama iqbal aur unke chand behtareeN sher
allama iqbal ke chand sher

allama iqbaal shayari

faqat nigah se hota hai faisla dil ka
na ho nigah me shokhi to dilbari kya hai 

kise nahe hai tamannaye sarwari lekin
khudi ki maut ho jis me wo sarwari kya hai 

khush aagai hai jahaN ko qalandari meri 
wagarna sher mera kya hai shayari kya hai 

Monday, April 1, 2013

nasha pila ki girana to sab ko aata hai

nasha pila ki girana to sab ko aata hai

sitaroN se aage jahaN aur bhi haiN

man ki daulat hath aati hai to phir jati nahi

allama iqbal ki gazal ka ek sher

urdu shayari
by allama iqbal

man ki daulat hath aati hai to phir jati nahi 
tan ki dawlat chauN hai aata hai dhan jata hai dhan

Thursday, March 7, 2013

allama iqbal ki gazal

allama iqbal ki gazal

GAZAL
ALLAMA IQBAL
name:  Muhammad iqbal
Takhallos:   IQBAL  (1938-1877)
sitaroN se aage jahaN aur bhi haiN
abhi ishq ke imtihaN aur bhi haiN
tehi zindagi se nahiN ye fizaeN
yahaN senkdoN karwaN aur bhi haiN
qina at na kar aalam e rang o bu par
chaman aur bhi haiN aashiyaN aur bhi haiN
to shameN he parwaz he kam tera
tere samne aasmaN aur bhi haiN
isi roz o shab main olajh karr na rah ja
ke tere zaman o makaN aur bhi haiN
gaye din ke tanha tha main anjuman main
yahaN ab mere razdaN aur bhi haiN

Sunday, February 24, 2013

Aata he yad mujh ko guzra hoa zamana a nazm by allama iqbal

Aata he yad mujh ko guzra hoa zamana a nazm by allama iqbal


NAZAM
 PARINDE KI FARYAD
Poet:allama iqbal
Aata he yad mujh ko guzra hoa zamana
Wobag ki bahareN wo sab ka chehchahana
azdiyaN kahaN wo ab apne ghonsle ki
apni khoshi se aana apni khoshi se jana
lagti he chot dil par aata he yad jis dam
shabnam ke aansowoN par kaliyoN ka muskurana
wo piyari piyari sorat wo kamni si morat
aabad jis ke dam se tha mera ashiyana
aati nahiN sadayeN us ki mere qafas main
hoti meri rihai aye kash mere bas main
kya bad naseb hoN main ghar ko taras raha hoN
sathi to haiN watan main mai qaid meN pada hoN
aai bhar kaliyaN pholoN ki hans rahi haiN
mai is andhere ghar me qismat ko ro rha hoN
is qaed ka ilahi dhokda kise sunawoN?
Dar he yaheN qafas me mai gamse mar na jaoN