Friday, March 1, 2013

ahmad rahi ki gazal Gam e hayat maiN koi kami nahiN aa e

ahmad rahi ki gazal Gam e hayat maiN koi kami nahiN aa e

Gazal
AHMAD RAHI
name: GULAM AHMAD
Takhallos:  RAHI 
(2002-1923)
Gam e hayat maiN koi kami nahiN aa e
Nazar fareb thi teri jamal aara e
Wo dastaN jo teri dilkashi ne chedi thi
Hazar bar meri sadagi ne dohra e
Fasane aam sahi meri chasm e heraN ke
Tamasha bante rahe haiN yahaN tamasha e
Teri wafa teri majboriyN baja lekin
Ye sozish e gam hijraN ye sard tanha e
Kisi ke husn e tamanna ka pas he warna
Mujhe khayal jahaN he na khof e roswa e
main sochta hoN zamane ka hal kya ho ga
agar yee oljhi hoi zulf to ne suljha e
kaheN ye apni muhabbt ki intiha to nahiN
bahut dinoN se tri yad bhi nahiN aa e