Monday, April 1, 2013

ranj o alam ki hosh o khirad ki jazb o asar ki bateN haiN best gazal

urdu romantic gazal

ranj o alam ki hosh o khirad ki jazb o asar ki bateN haiN
ek zara sa dil hai jisme dnya bhar ki bateN haiN
kehne ko to lutf o karam hai uski adae naaz magar

lutf o karam ke us parde me fitna o shar ki bateN haiN

dar e mohabbat,dard e zamana ek hi shi ke naam haiN do
in donoN me farq samajhna farq e nazar ki bateN haiN

shad hamare sheroN ke in ranga rang isharoN me
qalb o nazar ki apne ghar ki dunya bhar ki bateN haiN

0 comments: