Wednesday, April 10, 2013

Hazaar muhkam sahi safeena mujhe bharosa mager nahi ha hazrat qabil ajmeri ki mashoor aur romantic gazal

urdu gazal
urdu shayari


Hazaar muhkam sahi safeena mujhe bharosa mager nahi ha

Koi bharosa kary bhi kyunkr k na'khuda mo'tbar nahi ha.

Na janay badlen gi kab fazayen na jany kab inqalab ho ga
Abhi to gulshan ka koi ghuncha hareef-e barq o shar'r nahi ha.



Harm ka iz o waqar hun main sanam-kady ki bahaar hun main
Jahaa'n mera naqsh-e paa nahi ha wo aapki reh'guzr nahi ha.



Meri tawaja ajb tawaja mera taghaful ajb taghaful
Shikast-e saghar ko dekhta hun shikast-e dil ki khabr nahi ha.

Rawish rawish par main,zakhm-e dil ka lahu chhirrkna bhi janta hun
Mere chaman ka farogh QABIL bahaar par munhasir nahi ha.

QABIL AJMERI

Dil jal raha hai 

0 comments: