Saturday, April 13, 2013

subh ko shaam likh diya maine nafees banu shama ki gazal

poem ghazal
ghazal poems

subh ko shaam likh diya maine
apna anjaam likh diya maine

mujh se pucha gaya wafa kya hai 
bas tera naam likh diya maine

aati jati hui hawaoN par 
dil ka paigham likh diya maine

shama in ansuoN ko aahoN ko 
eshq inaam likh diya maine

0 comments: