Thursday, March 28, 2013

teri wafa ka maa'l kya ho ye sochna bhi rawa nahi hai

teri wafa ka maa'l kya ho ye sochna bhi rawa nahi hai
wafa ke bande wafa kiye ja wafa ka koi sila nahi hai

maa'l se meniyaz hokar kuch is tarah mahv e bandagi huN
ke rahatoN ki khushi hai lekin musibatoN ka gila nahi hai

0 comments: