Wednesday, March 16, 2016

Tarannum kanpuri ghazal bahar surat yahan jashne baharan ho ho jata hai

Ghazal by Tarannum kanpuri

bahar surat yahan jashne baharan ho ho jata hai
chamak jati hai jab bijli charagan ho hi jata hai 

tera faiz e massehai nahee mera sukoon e dil
ke had se badh ke aakhir dard darman ho hi jata hai

agar himmat shikista ho agar ho azm na mohkam
to paida daman e sahil se toofan ho hi jata hai

teri talqeen zate gham ka ham ko pass karte hain
magar chehre se dil ka gham numayan ho hi jata hai 

tarannum un ko kyun apni pareshnai pe hairat hai 
pareshan karne wala khud pareshan ho hijata hai 





Must Read:












0 comments: