Tuesday, July 30, 2013

Tod kar ahade karam na ashna ho jaeye Bandah parwar jaeye acha khafa ho jaeye

HASRATH MOHANI

Tod kar ahade karam na ashna ho jaeye

Bandah parwar jaeye acha khafa ho jaeye

Mere uzre jurm par mutlaq na kijiye iltifat

Balke pahle se bhi badh kar kaj ada ho jaeye



Rah me miliye kabhi mujh se to azrah e sitam

Hont apna kat kar foran juda ho jaeye

Meri tahrer nadamat ka na kuch dejiye jawab

Dekh lijiye aur tagaful ashna ho jaeye

Mujh se tanhai me gar miliye to dejiye ga galiyaN

Aur bazm e geer me jan e hayaN ho jaeye

haN yahi meri wafaye be asar ki he saza

aap kuch is se bhi badh ka rpur jafa ho jaeye

ji me aata he ke is shokh tagaful kesh se

ab na miliye phir kabhi aur be wafa ho jaeye

dil se yad e rozgar e aashiqi dijiye nikal

aarzoye shoq se na ashna ho jaeye

ek bhi armaN na rah jaye dil e mayos me

yani aakhir be niyaz e mudda ho jaeye

bhol kar bhi is sitam parwar ki phir aaye nay ad

is qadar be gana e ahd e wafa ho jaeye

kashmakash haye alam se ab ye hasrath ji me he

chut ke in jhagdon se mehmaN e qaza ho jaeye

0 comments: